Romantic Shayri

        Ek Muskhurahat....

Aap Ki Ek Muskhurahat Ne Hamare Hosh Uda Diye….
Hum Hosh Mein Aane Hee Wale The'Ke Aap Phir Se Muskura Diye

posted by: A Ahmed




USS NAZAR SE...

Khud Ko Khud Ki Khabar Na Lage,
Koi Accha Bhi Iss Kadar Na Lage
Aap Ko Dekha Hai Bas Uss Nazar Se,
Jis Nazar Se Aap Ko Nazar Na Lage….



                                                                            Duaa bhi Tuu 


Duaa bhi Tuu, Dawaa Bhi Tuu, Sanam Baade-Sabaa Bhi Tuu,
AdaaoN kaa Tu Paikar hai, Haseeno ki hayaa Bhi Tuu.

Kisii ka Qatl kartee hai Kisi ko Zindegee deytee,
Agar Muaafi Mujhe miltee to keh deytaa Khudaa bhi Tuu.

Tujhe SochhuN to Murdaa dil Dhadak utthtaa hai Seene meiN,
Sunaa hai ye bhi LogoN se ke deytee hai Qazaa bhi Tuu.

Chupaa kar apnee Chaahat ko, jo baithee hai jhukaa ke sar,
Usee Mahboob ke Gore se HaaNthoN ki Hinaa bhi Tuu.

Kabhi jo haaNth Failaa kar hooN aaya Baargaah-e-Rab,
Ibaadat ki wajah bhi Tuu, DuaaoN ka Silaa Bhi Tuu.

Tha aayaa ek TuufaaN "Shaad" apnee Zindegee meiN yooN,
JO ghar dekhaa kiye apnaa, Lutaa bhi Tuu bachaa bhi Tuu.